Sunday 14 May 2017

Pregnancy Me 255kg Vajan Uthakar Bani Chempion Maa Ne Banaya Kabil

Udaipur. Shahar ki Power Lifter Mala Sukhwal MaryKom se kam nhi he. 6 Maah ke garbhdharan ke baad bhi Mala ne family ko bataye bina National Compition me 255 kilo wajan uthakar na sirf silver Medal jeeta balki apni team ko National Champion bhi banaya.
Mala Ko abhii Maa bane 7 saal bit chuke hai. Magar ab bhi khel ke prati unka jajba or junun khatam nhi hua hai. Maa Banane ke baad bhi mala 3 baar Strong Women Of Rajasthan Or Power Lifting me darjano se jayada medal apne naam kar chuki hai. Mala Ko State Government ne 15 May ko Khilaadiyo ko diye jaane vale Higehest Play Award Maharana Pratap Award Se sammanit karegi.



  • Year 2010 me hui All India Railway Power Lifting Competition me agar Mala bhag nhi leti to Unki north western railway team ko kitab nhi mil pata. 
  • Aese me Mala ne pariwar, risthedaar, Friends or trainer Sahit sabhi ke virodh ke baavjud competition me bhag liya aur silver medal jeetkar apni team ko champion bataya. 
  • Mala ke do bacche hai or dono Healthy hai.
  • Mala ka sapna hai ki unke bacche bhi unki tarah ek kabil or Healthy Khiladi bane. 

Maa Banane Ke Baad 7 Saal Me 20 or Career Me 50 Medal Kar Chuki Apne Naam 

  • Mala Maa banane ke baad pichle 7 saalo me ab tak 12 Gold, 5 Silver or 3 Bronze sahit total 20 Medal jeet chuki hai. Vhi apne career me lagbhag 30 Gold, 10 Silver or 5 Bronze Medal apne naam kar chuki hai.
  • Power Lifting me International Medal jitne vali Mala rajasthan ki pahli khiladi hai. 
  • Mala ne New Zealand me 2007 me hue Commonwealth me 4 Gold or usi saal Asian games me 4 Silver jeete hai. Mala Jaldi Hi Jun-July Me Hone Vale Senior National or All India Railway Tournament me bhag legi. 

Pregnancy Me Sab The Khelne Dene Ke Khilaf, Sirf Maa Hi Thi Saath 

  • Mala Ekdum Sadharan Parivaar Se Sambhandh Rakti Hai. 
  • Year 2004 se apne professional career ki shuruaat karne vali Mala Ki Maa Rukmani Tellor Ka Kaam karti hai. 
  • Meduim Family se hone ke baad bhi Mala ki maa ne unhe khel sambandhit sabhi Jarurat ka saamn lake diya. Yha taki Mala ke Sports Costumes bhi seel kar unki maa tayar karti thi. 
 

Rohit Bhatt

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment